ye hawa, ye raat ye chaandani,
teri ek ada pe nisaar hain
muze kyo naa ho teri aarjoo,
teri justajoo mein bahaar hai
tuze kyaa khabar hai, o bekhabar
teri ek najar mein hain kyaa asar
jo gajab mein aaye to kahar hai
jo ho meharabaan to karaar hai
muze kyo naa ho teri aarjoo,
teri justajoo mein bahaar hai
ye hawa, ye raat ye chaandani
teri baat baat hain dilnasheen
koi tuz se badh ke naheen haseen
hai kali kali mein jo mastiyaan
teri aankh kaa ye khumaar hai
muze kyo naa ho teri aarjoo,
teri justajoo mein bahaar hai
ye hawa, ye raat ye chaandani
teri ek ada pe nisaar hain
-Rajendra Krishna
-Rajendra Krishna

No comments:
Post a Comment