sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista
nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista
[rukh - face, aaftaab - sun,face ]
jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda
hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista
[Yak Laqt - All of a sudden, shabaaB - Juvenility ]
sab-e-furkat ka jaaga hoon paristhoN ab to sone do
kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista
[sab-e-furkat- Night Of Separation]
Sawal-e-wasl par unko udu ka kwof hai itna
dab-e-hoton se dete hai jawab ahista ahista
[Sawal-e-wasl - asking for a date, udu - rival]
hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista
baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse
huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista
No comments:
Post a Comment