Tuesday, July 10, 2012

Maikade Band Karen, Lakh Zamane Wale






Maikade Band Karen, Lakh Zamane Wale
Shahar Mein Kam Nahin Aankhon Se, Pilaane Wale


Kaash Mujhko Bhi Laga Le Tu Kabhi Seene Se
Meri Tasveer Ko Seene Se Lagane Wale


Maikade Band Karen, Lakh Zamane Wale


Hum Yakeen Aapke Vaade Pe Bhala Kaise Karen
Aap Hargiz Nahin Hain Vaada Nibhaane Wale


Maikade Band Karen, Lakh Zamane Wale


Apne Aibon Pe Nazar Jinki Nahin Hoti Hai
Aaina Unko Dikhaate Hain Zamane Wale


Maikade Band Karen, Lakh Zamane Wale
Shahar Mein Kam Nahin Aankhon Se, Pilaane Wale
Maikade Band Karen, Lakh Zamane Wale


-Sung by Hariharan

Jhoom le has bol le



Jhoom le has bol le pyaari agar hai zindagi,
saans ke bas ek jhonke ka safar hai zindagi
Der hi bante bigadte kuch ise lagti nahi, 
phool ki deewar pe shabnam ka ghar hai zindagi
Ajnabee halaat se bhi has ke milne chahiye, 
har kadam par mudne waali rehguzar hai zindagi
Zindagi mein jo bhi karna chahta hai kar guzar, 
kya khabar barson ki hai ya lamha bhar hai zindagi.

- Sung by Hariharan ( Kaash )